Wednesday, January 14, 2009

wada-e-wafa par yakin nahi

Aaj tumhe hamari kadr nahi
Mere wada-e-wafa par yakin nahi
Lekin bahot yaad aayenge hum
Jab ek din chhod jayenge hum

Ye ishq bhi ajeeb hai
Bejubano ko juban de deta hai
Aur mujhe isne gunga bana diya
Kitni koshish ki maine
Ankho se apni baat
Tumhare dil me utarne ki

Shayad ye hunar nakafi tha
ya tumne suni nahi
Ek bejuban ki aawaz
Ya phir daag tha
meri mohabbat me koi
Ya phir tumne jana nahi
kaise

Jo bhi ho
Ye dard to samajha usi ne
jisne daba rakha hai dard sine me
Sach kahu
to yeh bate abhi tum nahi samajhoge
raat raat bhar roya karoge
Takiye se lag kar
Jab kabhi ruth kar tumse
hum chale jayenge

Deewaro se karoge bate
Rato me tare gina karoge
Jalati dhup me chaloge
Jab sari duniya
tumse begani ho jayegi
Yaad karoge mujhe bahot
Aur sitam khud par dhaya karoge

Sach kehta hu tum bhi
Jan jaoge pyaar hota hai kya
Lekin hum na honge tab paas tumhare
Dhundhoge gali gali
aur shahar shahar
Hawao se mera pata puchoge
Aur Chand se mera rasta
Bahot pachhataoge
Hum tak tum pahunch na paoge
Jab kabhi ruth kar tumse
hum chale jayenge

Yaad itna aayenge
Ansu ankho ke sukh jayenge
Phir bhi shayad
utna na tadapoge
jitna jale hai hum
tumhare liye

chahoge dhadakate dil ko
sine se nikal phenkana
chahoge hawao me gunjati
meri awazo ko pakadana
Har shai me nazar hum hi ayenge
ankhe band karoge
sapno me hum hi ayenge
Koshish karoge kuchh kehne ki
Apni baat hum tak pahunchane ki
Koshish karoge kuchh sun ne ki
lekin hum na honge
Jab kabhi ruth kar tumse
hum chale jayenge

Dawao ka asar tab na hoga tum par
Duwao me hume manga karoge
Rimjhim boondo me jala karoge
Aur barf ki garmi se pighla karoge
Har wo baat tum par guzaregi
Jinahe tumne kabhi samajha nahi

Yu hi akele me kabhi hans padoge
Kabhi bheed me bhi ro padoge
Pagalo si halat ho jayegi
Deewana tumhe bhi log kahenge
Ek din tum bhi toot kar mujhe
chahoge
lekin tab na rahenge
bahot dur ja chuke honge
Jab kabhi ruth kar tumse
hum chale jayenge

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...