Sunday, October 14, 2007

***Love ka Production***

Na Chemistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na Ye Accident Hota
Abhi Practical mein ayee nazar Ek Ladki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi
Baton mein Us ki Glucose ki Mithas thi
Sanson mein Ester ki Khushboo bhi sath thi
Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyaar
Bin Piye hi ho jata hai Alcohol Ka Khumar
Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere mein hota tha Radium ka Abhas
Nazrein mili, reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua
Lagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aise
Nucleus ke charon taraf Electron hon jaise
Us din hamare Test ka Confirmation hua
Jab us ke daddy se hamara Introduction hua
Sun kar hamari baat wo aise Uchhal pade
Ignesium Tube mein jaise Sodium Bhadak uthe
Woh bole, Hosh mein aao, Pehchano apni Auqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath
Ye sun kar Tuta hamare Armanon Bhara Beakar
Aur ham Chup rahe Benzaldehyde ka Kadwa Ghoont pee kar
Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...