Sunday, July 29, 2007

Computer Engineer Ka Love Letter, Written By Me..

Ek computer engineer male ne female ko email k zariye aapna prem sandesh pahuchaya aur kaha :-



Mere man ka operating system ekdum Dull ho gaya hai isme apne DIL ka Service Pack install kar isko upgrade karo. Yeh aab StandAlone kaam nahi kar raha Please isko aapne LAN Card ki cable se connect kar iski Networking ko pura karo. Mera jeevan tumhare bagair aaisa aadhura hai, jaise Motherboard Processor ke bagair aadhura hai; Please isme aapne piyar ki RAM daalkar isko SMPS se current do aur hamari life ka Computer start karo.



Tumhari LED jaise aakhon ne mere DIL ke Software mein koi virus sa chor diya hai. Mere dimag ki Hard Disk mein tumhari JPEG images ki kai copies chap gai hai jo delete karne ke bavjood Recycle Bin mein nahi jati, aur jinka printout har waqt meri aakhon mein chapa rehta hai.



Mein tumhe tumhari family class se marriage access specifier use karke aapni standalone class mein inherit karma chahata hoon. Phir mein aapni class mein finalize keyword lagakar tumhe aur kisi ki class mein inherit nahi hone dunga aur tumahe aapni class ka private member banakar rakhunga aur aapni life ki queue mein First Priority dunga. Mein vaada karta hoon ki aapni class mein kisi aur larki ki multiple inheritance nahi hone dunga. Hamari is class ke kuch objects bhi honge jinka naam hum pandit ji se pooch kar identifiers rules ke according rakhange.



Hamari class ki exceptional handling mein aachi tarahan karunga saath hi syntax, logical aur runtime errors pe bhi dhayan dunga. Plus aapni life mein normalization ke saare rules lagakar aapne database ko redundant hone se bachaunga. Hamari life mein kor virus na aaye iske liye shaadi ke waqt pandit ji se keh kar Norton Antivirus ke bhi mantra parvaunga.

To kya tum mujh se shaadi karke ek "RELATIONAL CHILDREN BASED FAMILY MANAGEMENT SYSTEM" (RCBFMS) banana chahoge.




PS. I Wrote this Letter When I Was In Class 12th :D

0 comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...